Thursday, December 21, 2006

More Poetry...

Bolti hai dosti chup rehta hai pyar
Hasti hai dosti rulata hai pyar
Milti hai dosti bicharta hai pyar
Phir na jane log kyon karte hain pyar?

Har kisi say zyada, bus khuda se kum
Humein itni mohabbat hai tumse sanam
Ab chaahay parain ishq main jitnay sitam
Tumhain paana hai chaahey jitnay ho gham
Labon nay na bola per is jahan ki kasam
Agar hota jayaz, pujtey tum ko hum....

Na khuda dil banata, na kisi se pyar hota
Na kisi ki yaad aati, na kisi ka intzaar hota
Dil diya hai, use samhaal kar rakhna
Sheeshe se bana hai patthar se door rakhna!

Aankho main aansoo ki tarha
Phoolon main khusboo ki tarha
Aap mere dil main base ho
Dil main dhadkan ki tarha!

Tu phool hai gulaab ka
Main ashiq tere shabaab ka
Teri tasveer mere dil main hai
Kya fayda tere nakaab ka!

Teri har ada mohabbat si lagti hai
Ek pal ki judai mudat si lagti hai
Pehley nahi tha socha ab sochtay hain
Zindagi ke har lamhey mein teri zaroorat si lagti hai

Ik Ada Aap Ki Dil Churaney Ki
Ik Ada Aap Ki Dil Main Bas Janey Ki
Ik Chehra Aap Ka Chand Sa
Ik Zid Humari Chand Ko Paney Ki!!!

Kisi Kamzoor Lamhey Me,
Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,
Mujhey Tum Say "MOHABAAT" Hai,
Tum Ye Mat Samajh Lena Ke....!
Main Ney SACH Kaha Ho Ga,
Aisi Dil-Nasheen Baaton Ko
Aisi Dilbar Aadaon Me Kehna
Mujhey Bachpan Say Aata Hai,
Meri Aankhein, Mera Chehra,
Ye Sab Kuch JHOOT Kehta Hai, Mager,
Iss Jhoot Main Ek SACH Bhi Hai Ke......!
Mujhey Tum Say "MOHABBAT" Hai
Confused?? LOL!!

Aankh milatay darr lagta hai
Ishq kahin aur gehra na ho jaey
Kab se sambhala dil ko maine
Dil yeh kahin kho na jaey
Ishq buri hai cheez maine mana
Per nahi manay yeh dil deewana
Chot milay chahat main maine jana
Par hai barra mushkil dil ko samjhana
Pyar main doori na sahi jaey
Bekarari reh reh ke tarpaey
Yeh pyar kahan kab hota hai...
Jab na hona chahiye tab hi ho jata hai....Damn!!!

Tum nahi aate phir bhi rahta hai intazaar
Kabhi kabhi baith jati hoon kar ke shingaar
Ab aa bhi jao thor ke har ek deewaar
Sirf tum se aayegi meri iss zindagi main phir se bahaar...

No comments: