Monday, December 11, 2006

More Poetry


Bhool janae ka honsla na hua,
dhoor rehkar bhi tu judaah na hua,
tujse milkae kisi se kya miltae hum,
koi tera jaisa doosra na hua...


Sau sau tareekon se yaad karke tumhe,
sau sau tareekon se bulate hain,
main jaanti hoon ki tum meri dosti kokabhi samajh nahi paaoge,
lekin phir bhi apne dil ko behlaate hain..


Aarzoo hai tujhe door se dekhne ki,
kareeb aana bhi nahi chaahte,
tujhe paane ki tamanna to nahi,
lekin tujhe khona bhi nahi chaahte...


Aansuon ko palkon pe laaya na kijiye..
dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye...
log mutthi mein namak liye firte hain...
apne har zakhm dikhaya na kijiye...


Tum tassali na do,
sirf baithe raho,
waqt kuch mere marne ka tal jaaega...

Humne manga tha saath unka,
woh judai ka gam de gaye,
hum unki yaadon ke sahare ji lete,
par woh bhool jaane ki kasam de gaye...


Jinki yaad mein hum dewane ho gaye,
wo hum hi se begaane ho gaye,
shayad unhe talash hai ab naye dost ki,
kyunki unki nazar me ab hum purane ho gaye...


Is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye,
kyun ho hum se khafa ye bayaan to kijiye,
kar dijiye maaf gar ho gai hum se khata,
yun yaad na karke hame sazaa na dijiye...

Kisi se hame mohabbat ho gayee...
har saans me unki jaroorat ho gayeee...
jinke liye ham moum ki tarah pighal gaye...
woh hamare liye pathar dil moorat ho gayee...



Chaman ko chaman ki baharon ne loota,
sahil pe kashti ko kinaaron ne loota,
aap to ek hi kasam se darr gaye,
hume to aapki kasam deke hazaaron ne loota...



Kahne ko sab kuch hai,
magar kuch kami si hai,
lagta hai ke dhadkan thami si hai,
hamari mohabbat ko thukrane wale...zara aaina to dekh,
teri aankho mai bhi nami si hai...

Palkon ke kinare jo humne bhigoye nahi,
woh sochte hain hum kabhi roye hi nahi,
woh poochte hain khwabon mein kise dekhte ho,
unhe kya pata hum ek umra se soye hi nahi...

Ishq se guzrae hain aur aaj pohnchae hai iss mukaam pe,
ke nafrat si ho gayi hai kuch ishq ke naam se....

Dhadak tae dil ko sunkar bhi aapko pyar ki khabar nahi hoti,
kya mehsoos karengae aap dil ka dard,
dil ke tootnae ki toh awaaz bhi nahi hoti...


No comments: